zamin pe rah ke kahan fikr-e-asman rakhna
zamīñ pe rah ke kahāñ fikr-e-āsmāñ rakhnā
tum apne dost jo rakhnā to ham-zabāñ rakhnā
mohabbatoñ ko na.e hausle atā karnā
adāvatoñ ko tah-e-teġh ham-rahāñ rakhnā
bikhar na jaa.e mirī zindagī kā shīrāza
mire ḳhudā mirī himmat ko tū javāñ rakhnā
ye mashġhala bhī ajab hai hamāre beTe kā
har ek chiiz uThānā yahāñ vahāñ rakhnā
banānā ret ke ghar tum ko yaad to hogā
phir in gharoñ meñ mohabbat kī sīpiyāñ rakhnā
zamin pe rah ke kahan fikr-e-asman rakhna
tum apne dost jo rakhna to ham-zaban rakhna
mohabbaton ko nae hausle ata karna
adawaton ko tah-e-tegh ham-rahan rakhna
bikhar na jae meri zindagi ka shiraaza
mere KHuda meri himmat ko tu jawan rakhna
ye mashghala bhi ajab hai hamare beTe ka
har ek chiz uThana yahan wahan rakhna
banana ret ke ghar tum ko yaad to hoga
phir in gharon mein mohabbat ki sipiyan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.