zamin pe rah nahin sakte wo aan-ban ke sath
zamīñ pe rah nahīñ sakte vo ān-bān ke saath
badalte rahte haiñ jo rañg āsmān ke saath
tamām din vo añdheroñ se laḌte rahte haiñ
jo log sub.h ko uThte nahīñ azaan ke saath
vo mujh se rakhtā hai duurī hazāroñ mīloñ kī
khaḌī hai jhoñpaḌī jis kī mire makān ke saath
hameñ paḌhāyā gayā hai yahī to maktab meñ
ravayya manfī na rakhnā kisī zabān ke saath
amīroñ hī ke liye mat bahā pasīne ko
ugā to ḳhosha-e-gandum bhī za.afrān ke saath
bikher detā kabhī kā mujhe akelā-pan
na rahtā juḌ ke agar apne ḳhāndān ke saath
ye zaḳhm-e-shauq jo dil par lagā hai ai 'shībān'
mahakte rahnā hamesha isī nishān ke saath
zamin pe rah nahin sakte wo aan-ban ke sath
badalte rahte hain jo rang aasman ke sath
tamam din wo andheron se laDte rahte hain
jo log subh ko uThte nahin azan ke sath
wo mujh se rakhta hai duri hazaron milon ki
khaDi hai jhonpaDi jis ki mere makan ke sath
hamein paDhaya gaya hai yahi to maktab mein
rawayya manfi na rakhna kisi zaban ke sath
amiron hi ke liye mat baha pasine ko
uga to KHosha-e-gandum bhi zafran ke sath
bikher deta kabhi ka mujhe akela-pan
na rahta juD ke agar apne KHandan ke sath
ye zaKHm-e-shauq jo dil par laga hai ai 'shiban'
mahakte rahna hamesha isi nishan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.