zamin raund chuke aasman baqi hai
zamīn rauñd chuke āsmān baaqī hai
abhī kahīñ na kahīñ ye jahān baaqī hai
ye daur paise kā hai kuchh pata nahīñ chaltā
ki kaun bik gayā kis kī zabān baaqī hai
kareñ vo laakh jatan phir bhī kuchh nahīñ hogā
abhī zamīn pe us kā makān baaqī hai
hameñ miTā do magar haq to chhup nahīñ saktā
galā kaTā hai abhī to zabān baaqī hai
ye kah ke chhoḌ diyā kyoñ qalam 'muzammil' ne
abhī to aur bhī ik imtihān baaqī hai
zamin raund chuke aasman baqi hai
abhi kahin na kahin ye jahan baqi hai
ye daur paise ka hai kuchh pata nahin chalta
ki kaun bik gaya kis ki zaban baqi hai
karen wo lakh jatan phir bhi kuchh nahin hoga
abhi zamin pe us ka makan baqi hai
hamein miTa do magar haq to chhup nahin sakta
gala kaTa hai abhi to zaban baqi hai
ye kah ke chhoD diya kyon qalam 'muzammil' ne
abhi to aur bhi ek imtihan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.