Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin se aasman tak aa gae hain

sharmaa Taseer

zamin se aasman tak aa gae hain

sharmaa Taseer

MORE BYsharmaa Taseer

    zamīñ se āsmāñ tak aa ga.e haiñ

    chale haiñ to kahāñ tak aa ga.e haiñ

    musāfir in jhameloñ meñ paḌeñ kyoñ

    kahāñ se ham kahāñ tak aa ga.e haiñ

    nazar ke sāmne vo āstāñ hai

    yaqīñ vaale kahāñ tak aa ga.e haiñ

    hue haiñ baat karne par vo raazī

    zahe qismat yahāñ tak aa ga.e haiñ

    ḳhirad āḳhirī manzil vahī hai

    junūñ vaale jahāñ tak aa ga.e haiñ

    huī ik saañs meñ tai ye masāfat

    makāñ se lā-makāñ tak aa ga.e haiñ

    gañvā zindagī bhar kamā.ī

    gile nok-e-zabāñ tak aa ga.e haiñ

    zamin se aasman tak aa gae hain

    chale hain to kahan tak aa gae hain

    musafir in jhamelon mein paDen kyon

    kahan se hum kahan tak aa gae hain

    nazar ke samne wo aastan hai

    yaqin wale kahan tak aa gae hain

    hue hain baat karne par wo raazi

    zahe qismat yahan tak aa gae hain

    KHirad ki aaKHiri manzil wahi hai

    junun wale jahan tak aa gae hain

    hui ek sans mein tai ye masafat

    makan se la-makan tak aa gae hain

    ganwa di zindagi bhar ki kamai

    gile nok-e-zaban tak aa gae hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now