zamin se aasman tak ka safar hai
zamīñ se āsmāñ tak kā safar hai
yaqīñ jaisā gumāñ tak kā safar hai
hameñ to raat din chalnā hai lekin
ḳhudā jaane kahāñ tak kā safar hai
mire us ke ta.alluq kī kahānī
junūñ ke darmiyāñ tak kā safar hai
tire inkār kā saarā ḳhulāsa
tirī halkī sī haañ tak kā safar hai
kitāb-e-ishq kī har dāstāñ meñ
har ik qissa ziyāñ tak kā safar hai
zamin se aasman tak ka safar hai
yaqin jaisa guman tak ka safar hai
hamein to raat din chalna hai lekin
KHuda jaane kahan tak ka safar hai
mere us ke talluq ki kahani
junun ke darmiyan tak ka safar hai
tere inkar ka sara KHulasa
teri halki si han tak ka safar hai
kitab-e-ishq ki har dastan mein
har ek qissa ziyan tak ka safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.