zamin se dur rahe aasman se dur rahe
zamīñ se duur rahe āsmāñ se duur rahe
jo tum the paas to saare jahāñ se duur rahe
jo ashk-e-ġham mizha-e-ḳhūñ-fishāñ se duur rahe
fasāna ban ga.e lafz-o-bayāñ se duur rahe
vo kyā batā.eñ bahāroñ kī hashr-sāmānī
jo tā.irān-e-qafas gulsitāñ se duur rahe
sitam-zarīfī-e-fitrat vo mīr-e-manzil haiñ
vahī jo gard-e-rah-e-kārvāñ se duur rahe
ghaTā sakā na zamāna diloñ kī qurbat ko
tumhāre paas rahe āstāñ se duur rahe
vo daur asl meñ jān-e-ġhazal-sarā.ī thā
vo daur jis meñ ki ham āshiyāñ se duur rahe
nazar se duurī kā 'ehsās' itnā ġham to na thā
malāl ye hai dil-e-dostāñ se duur rahe
zamin se dur rahe aasman se dur rahe
jo tum the pas to sare jahan se dur rahe
jo ashk-e-gham mizha-e-KHun-fishan se dur rahe
fasana ban gae lafz-o-bayan se dur rahe
wo kya bataen bahaaron ki hashr-samani
jo tairan-e-qafas gulsitan se dur rahe
sitam-zarifi-e-fitrat wo mir-e-manzil hain
wahi jo gard-e-rah-e-karwan se dur rahe
ghaTa saka na zamana dilon ki qurbat ko
tumhaare pas rahe aastan se dur rahe
wo daur asl mein jaan-e-ghazal-sarai tha
wo daur jis mein ki hum aashiyan se dur rahe
nazar se duri ka 'ehsas' itna gham to na tha
malal ye hai dil-e-dostan se dur rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.