zamin se guzre hain ya aasman se guzre hain
zamīñ se guzre haiñ yā āsmāñ se guzre haiñ
jahāñ ko saath liyā hai jahāñ se guzre haiñ
huā chaman meñ phir elān-e-āshiyāñ-bandī
abhī kī baat hai ik imtihāñ se guzre haiñ
ba-josh-e-sa.ī-e-baġhāvat zamīñ ke ye zarre
hazāroñ baar sar-e-āsmāñ se guzre haiñ
vahīñ ulajh se ga.e haiñ vahīñ ThiThuk se ga.e
nigāheñ apnī bachā kar jahāñ se guzre haiñ
na pūchhiye kashish-e-manzil-e-ġham-e-jānāñ
yahīñ ke ho ga.e jo bhī yahāñ se guzre haiñ
qadam qadam meñ hamāre hai jazba-e-taḳhlīq
vahīñ ubhār dī manzil jahāñ se guzre haiñ
'shifā' baḌho ki ufuq-dar-nazar rajaz-bar-lab
shafaq kī aaḌ meñ kuchh kārvāñ se guzre haiñ
zamin se guzre hain ya aasman se guzre hain
jahan ko sath liya hai jahan se guzre hain
hua chaman mein phir elan-e-ashiyan-bandi
abhi ki baat hai ek imtihan se guzre hain
ba-josh-e-sai-e-baghawat zamin ke ye zarre
hazaron bar sar-e-asman se guzre hain
wahin ulajh se gae hain wahin ThiThuk se gae
nigahen apni bacha kar jahan se guzre hain
na puchhiye kashish-e-manzil-e-gham-e-jaanan
yahin ke ho gae jo bhi yahan se guzre hain
qadam qadam mein hamare hai jazba-e-taKHliq
wahin ubhaar di manzil jahan se guzre hain
'shifa' baDho ki ufuq-dar-nazar rajaz-bar-lab
shafaq ki aaD mein kuchh karwan se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.