aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai

Fatima Hasan

zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai

Fatima Hasan

MORE BYFatima Hasan

    zamīñ se rishta-e-dīvār-o-dar bhī rakhnā hai

    sañvārne ke liye apnā ghar bhī rakhnā hai

    havā se aag se paanī se muttasil rah kar

    inhīñ se apnī tabāhī Dar bhī rakhnā hai

    makāñ banāte hue chhat bahut zarūrī hai

    bachā ke sehn meñ lekin shajar bhī rakhnā hai

    ye kyā safar ke liye hijrateñ javāz baneñ

    jo vāpsī ho aisā safar bhī rakhnā hai

    hamārī nasl sañvartī hai dekh kar ham ko

    so apne-āp ko shaffāf-tar bhī rakhnā hai

    havā ke ruḳh ko badalnā agar nahīñ mumkin

    havā zad pe safar hunar bhī rakhnā hai

    nishān-e-rāh se baḌh kar haiñ ḳhvāb manzil ke

    inheñ bachānā hai aur raah par bhī rakhnā hai

    javāz kuchh bhī ho itnā to sab jānte haiñ

    safar ke saath javāz-e-safar bhī rakhnā hai

    zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai

    sanwarne ke liye apna ghar bhi rakhna hai

    hawa se aag se pani se muttasil rah kar

    inhin se apni tabahi ka Dar bhi rakhna hai

    makan banate hue chhat bahut zaruri hai

    bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai

    ye kya safar ke liye hijraten jawaz banen

    jo wapsi ka ho aisa safar bhi rakhna hai

    hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko

    so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai

    hawa ke ruKH ko badalna agar nahin mumkin

    hawa ki zad pe safar ka hunar bhi rakhna hai

    nishan-e-rah se baDh kar hain KHwab manzil ke

    inhen bachana hai aur rah par bhi rakhna hai

    jawaz kuchh bhi ho itna to sab hi jaante hain

    safar ke sath jawaz-e-safar bhi rakhna hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Zamin se rishta-o-diwar-o-dar bhi rakhna hai Azra Naqvi

    Source:

    yadain bhi ab khwab hoin (Pg. 84)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now