zamin se uThne lagin ungliyan sitaron par
zamīñ se uThne lagīñ uñgliyāñ sitāroñ par
ye kis kā ḳhuun chamaktā hai regzāroñ par
fasīl-e-shahr-e-mohabbat kī ḳhair ho maulā
kamāñ-ba-dast sipāhī haiñ sab mināroñ par
ab is ke baa'd ḳhudā jaane nāḳhudā jaane
shikasta naav ko rakh to diyā hai dhāroñ par
junūn-e-qāfila-sāzī tirā qubūl magar
ye raah tang na ho jaa.e shahsavāroñ par
tumheñ to sirf ye iizā ki Dūbnā hai tumheñ
hameñ to paañv bhī rakhne haiñ un kināroñ par
sunā to ye thā ki sab tā.ir-e-vafā ḳhush haiñ
zamīñ pe bikhre paḌe haiñ magar hazāroñ par
zamin se uThne lagin ungliyan sitaron par
ye kis ka KHun chamakta hai regzaron par
fasil-e-shahr-e-mohabbat ki KHair ho maula
kaman-ba-dast sipahi hain sab minaron par
ab is ke ba'd KHuda jaane naKHuda jaane
shikasta naw ko rakh to diya hai dhaaron par
junun-e-qafila-sazi tera qubul magar
ye rah tang na ho jae shahsawaron par
tumhein to sirf ye iza ki Dubna hai tumhein
hamein to panw bhi rakhne hain un kinaron par
suna to ye tha ki sab tair-e-wafa KHush hain
zamin pe bikhre paDe hain magar hazaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.