zamin se uncha had-e-asman par rakh de
zamīñ se ūñchā had-e-āsmān par rakh de
shu'ūr-e-zāt ko ūñche nishān par rakh de
bulandiyāñ jise chāheñ to aisā shāhīñ hai
havā na dekh paroñ ko uḌaan par rakh de
maiñ terā amn huuñ tarkash meñ qaid huuñ kab se
kabhī mujhe bhī uThā kar kamān par rakh de
kaḌī sī dhuup meñ ehsās hī na kho jaa.e
koī bhī zā.iqa merī zabān par rakh de
tū apne ḳhuun kā in zālimoñ kī bastī se
sila na maañg lahū ko chaTān par rakh de
zamin se uncha had-e-asman par rakh de
shu'ur-e-zat ko unche nishan par rakh de
bulandiyan jise chahen to aisa shahin hai
hawa na dekh paron ko uDan par rakh de
main tera amn hun tarkash mein qaid hun kab se
kabhi mujhe bhi uTha kar kaman par rakh de
kaDi si dhup mein ehsas hi na kho jae
koi bhi zaiqa meri zaban par rakh de
tu apne KHun ka in zalimon ki basti se
sila na mang lahu ko chaTan par rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.