zamin se zer hua hun na aasman se main
zamīñ se zer huā huuñ na āsmāñ se maiñ
bañdhā huā huuñ muqaddar ke bādbāñ se maiñ
lipaT ke ro.egā pindār-e-be-karāñ mujh se
pukārā jā.uñgā fihrist-e-raftagāñ se maiñ
mire ḳhudā ko hī jab mujh pe e'tibār nahīñ
nikal na jā.ūñ farishtoñ ke darmiyāñ se maiñ
mire liye the sabhī saañp bā’is-e-rahmat
vo āstīn se nikle to āstāñ se maiñ
visāl-o-hijr se baḌh kar bhī laakh ġham haiñ mujhe
nikāl dūñgā mohabbat ko dāstāñ se maiñ
zamāne-bhar ke 'azāboñ ne mujh ko gher liyā
judā huā huuñ juuñ hī 'shams' apnī maañ se maiñ
zamin se zer hua hun na aasman se main
bandha hua hun muqaddar ke baadban se main
lipaT ke roega pindar-e-be-karan mujh se
pukara jaunga fihrist-e-raftagan se main
mere KHuda ko hi jab mujh pe e'tibar nahin
nikal na jaun farishton ke darmiyan se main
mere liye the sabhi sanp ba’is-e-rahmat
wo aastin se nikle to aastan se main
visal-o-hijr se baDh kar bhi lakh gham hain mujhe
nikal dunga mohabbat ko dastan se main
zamane-bhar ke 'azabon ne mujh ko gher liya
juda hua hun jun hi 'shams' apni man se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.