zamin suraj ki jaanib dhire dhire ruKH badalti hai
zamīñ sūraj kī jānib dhīre dhīre ruḳh badaltī hai
añdherā ḳhud hī chhaTtā hai sahar ḳhud hī nikaltī hai
yūñhī piste rahoge vaqt kī gardish meñ dil vaalo
ḳhabar hai inqalāb-e-fikr se qismat badaltī hai
mohabbat karne vaale hausla haare hasīñ ab tak
unhīñ ke dam-qadam se zindagī karvaT badaltī hai
nahīñ dekhā hai us ko ham ne ik muddat se ai hamdam
magar jab bhī ḳhayāl aayā hai ik ḳhvāhish machaltī hai
zamāne kī rutoñ meñ kaise kaise rang utarte haiñ
kabhī nashsha sā chaḌhtā hai kabhī mamtā machaltī hai
mire ḳhvāboñ ke gulshan meñ bahāreñ raqs kartī haiñ
mirī firdaus-e-gum-karda mire hamrāh chaltī hai
zamin suraj ki jaanib dhire dhire ruKH badalti hai
andhera KHud hi chhaTta hai sahar KHud hi nikalti hai
yunhi piste rahoge waqt ki gardish mein dil walo
KHabar hai inqalab-e-fikr se qismat badalti hai
mohabbat karne wale hausla haare hasin ab tak
unhin ke dam-qadam se zindagi karwaT badalti hai
nahin dekha hai us ko hum ne ek muddat se ai hamdam
magar jab bhi KHayal aaya hai ek KHwahish machalti hai
zamane ki ruton mein kaise kaise rang utarte hain
kabhi nashsha sa chaDhta hai kabhi mamta machalti hai
mere KHwabon ke gulshan mein bahaaren raqs karti hain
meri firdaus-e-gum-karda mere hamrah chalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.