zamin tak hi nahin charcha tera ab aasman tak hai
zamīñ tak hī nahīñ charchā tirā ab āsmāñ tak hai
kabhī to soch dil meñ jor kī shohrat kahāñ tak hai
na jaane is qadar sahme hue haiñ kyoñ chaman vaale
rasā.ī barq-e-sozāñ kī to mere āshiyāñ tak hai
mirī taqlīd se rashk-e-qamar kahte haiñ sab tum ko
tumhāre husn kā charchā mire husn-e-bayāñ tak hai
idhar bechārgī meñ dil bhī dushman ho gayā apnā
udhar jaur-o-jafā meñ un kā sāthī āsmāñ tak hai
tumhārā bār-e-ehsāñ bhī uThāne ke liye nahīñ baaqī
tumhāre nā-tavāñ kī nā-tavānī ab yahāñ tak hai
junūñ kī kār-farmā.ī ko ye hargiz na samjhegī
rasā.ī aql kī andesha-e-sūd-o-ziyāñ tak hai
sañbhal jā ai dil-e-nādāñ abhī tak kuchh nahīñ bigḌā
abhī to raaz ulfat kā ḳhamoshī kī zabāñ tak hai
kabhī hai jaan ḳhatre meñ kabhī īmān ḳhatre meñ
butoñ kī mehrbānī mujh pe 'sāhir' ab yahāñ tak hai
zamin tak hi nahin charcha tera ab aasman tak hai
kabhi to soch dil mein jor ki shohrat kahan tak hai
na jaane is qadar sahme hue hain kyon chaman wale
rasai barq-e-sozan ki to mere aashiyan tak hai
meri taqlid se rashk-e-qamar kahte hain sab tum ko
tumhaare husn ka charcha mere husn-e-bayan tak hai
idhar bechaargi mein dil bhi dushman ho gaya apna
udhar jaur-o-jafa mein un ka sathi aasman tak hai
tumhaara bar-e-ehsan bhi uThane ke liye nahin baqi
tumhaare na-tawan ki na-tawani ab yahan tak hai
junun ki kar-farmai ko ye hargiz na samjhegi
rasai aql ki andesha-e-sud-o-ziyan tak hai
sanbhal ja ai dil-e-nadan abhi tak kuchh nahin bigDa
abhi to raaz ulfat ka KHamoshi ki zaban tak hai
kabhi hai jaan KHatre mein kabhi iman KHatre mein
buton ki mehrbani mujh pe 'sahir' ab yahan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.