zamin tashkil de lete falak tamir kar lete
zamīñ tashkīl de lete falak ta.amīr kar lete
ham apne aap meñ hote to sab taqdīr kar lete
inhī rāhoñ pe chalne kī koī tadbīr kar lete
agarche ḳhaak uḌtī, ḳhaak ko iksīr kar lete
nahīñ thā sar meñ saudā bām-o-dar kā is qadar varna
zamāna dekhtā kyā kyā na ham ta.amīr kar lete
ye mohlat bhī baḌī shai thī hameñ ai kaash mil jaatī
kisī din baiThte kār-e-jahāñ tahrīr kar lete
ḳhalish baaqī na hotī to bhalā kyā lutf rah jaatā
tujhe tasḳhīr karnā chāhte tasḳhīr kar lete
nahīñ guftār kī lazzat ye jazbe kī karāmat hai
agar jazba nahīñ hotā to kyā taqrīr kar lete
mohabbat meñ junūñ kī barkateñ shāmil jo ho jātīñ
adhūre ḳhvāb the puurī magar ta.abīr kar lete
zamin tashkil de lete falak tamir kar lete
hum apne aap mein hote to sab taqdir kar lete
inhi rahon pe chalne ki koi tadbir kar lete
agarche KHak uDti, KHak ko iksir kar lete
nahin tha sar mein sauda baam-o-dar ka is qadar warna
zamana dekhta kya kya na hum tamir kar lete
ye mohlat bhi baDi shai thi hamein ai kash mil jati
kisi din baiThte kar-e-jahan tahrir kar lete
KHalish baqi na hoti to bhala kya lutf rah jata
tujhe tasKHir karna chahte tasKHir kar lete
nahin guftar ki lazzat ye jazbe ki karamat hai
agar jazba nahin hota to kya taqrir kar lete
mohabbat mein junun ki barkaten shamil jo ho jatin
adhure KHwab the puri magar tabir kar lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.