zamin thi tang khula aasman kya rakhte
zamīñ thī tañg khulā āsmān kyā rakhte
ham apne sar pe koī sā.ebān kyā rakhte
bahut tavīl thā anjān chāhatoñ kā safar
ki chal rahe the musalsal takān kyā rakhte
jahāñ bhī chhāñv nazar aa ga.ī paḌāv kiyā
ik umr dasht meñ guzrī makān kyā rakhte
na hotā ḳhuun hamārā jo rañg-o-nik.hat meñ
ye phuul chehre bhalā ān-bān kyā rakhte
bhunā rahe haiñ jo aslāf ke usūloñ ko
vo apnā nām-o-nasab ḳhāndān kyā rakhte
jhulas ga.e the tamāzat se bāl-o-par jin ke
vo bad-nasīb parinde uḌaan kyā rakhte
zamin thi tang khula aasman kya rakhte
hum apne sar pe koi saeban kya rakhte
bahut tawil tha anjaan chahaton ka safar
ki chal rahe the musalsal takan kya rakhte
jahan bhi chhanw nazar aa gai paDaw kiya
ek umr dasht mein guzri makan kya rakhte
na hota KHun hamara jo rang-o-nikhat mein
ye phul chehre bhala aan-ban kya rakhte
bhuna rahe hain jo aslaf ke usulon ko
wo apna nam-o-nasab KHandan kya rakhte
jhulas gae the tamazat se baal-o-par jin ke
wo bad-nasib parinde uDan kya rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.