zamin to chhin li ab aasman rahne de
zamīñ to chhīn lī ab āsmān rahne de
dil-e-hazīñ meñ shafaq kā gumān rahne de
har ek iiñT meñ poshīda hai mirī tahzīb
purānī shakl meñ merā makān rahne de
yahī to āḳhirī harba bachā hai mere liye
ḳhudā ke vāste muñh meñ zabān rahne de
unheñ bhī dhuup kī shiddat kā kuchh to ho ehsās
saroñ pe shīshe kā ye sā.ebān rahne de
kināre aa lagī āḳhir ye kashtī-e-ummīd
havā-e-vaqt bhalā bādbān rahne de
zamin to chhin li ab aasman rahne de
dil-e-hazin mein shafaq ka guman rahne de
har ek inT mein poshida hai meri tahzib
purani shakl mein mera makan rahne de
yahi to aaKHiri harba bacha hai mere liye
KHuda ke waste munh mein zaban rahne de
unhen bhi dhup ki shiddat ka kuchh to ho ehsas
saron pe shishe ka ye saeban rahne de
kinare aa lagi aaKHir ye kashti-e-ummid
hawa-e-waqt bhala baadban rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.