zamzama-e-ah-o-fughan dur tak
zamzama-e-āh-o-fuġhāñ duur tak
gūñjtī hai vādī-e-jāñ duur tak
haa.e re vīrānī-e-rāh-e-hayāt
koī sadā hai na nishāñ duur tak
mil na sakā amn-o-sukūñ kā pata
DhūñD chukī umr-e-ravāñ duur tak
sham-e-tarab jalva-fagan ās-pās
mash.al-ġham nūr-fishāñ duur tak
simTe hue amn ke paiġhāmbar
phaile hue qātil-e-jāñ duur tak
shahr meñ dehāt meñ har raah meñ
ḳhuun kī ik jū-e-ravāñ duur tak
pūchh na 'fāzil' mirī duniyā kā rañg
aag har ik samt dhuāñ duur tak
zamzama-e-ah-o-fughan dur tak
gunjti hai wadi-e-jaan dur tak
hae re virani-e-rah-e-hayat
koi sada hai na nishan dur tak
mil na saka amn-o-sukun ka pata
DhunD chuki umr-e-rawan dur tak
sham-e-tarab jalwa-fagan aas-pas
mashal-gham nur-fishan dur tak
simTe hue amn ke paighambar
phaile hue qatil-e-jaan dur tak
shahr mein dehat mein har rah mein
KHun ki ek ju-e-rawan dur tak
puchh na 'fazil' meri duniya ka rang
aag har ek samt dhuan dur tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.