zamzama iztirab kuchh bhi na tha
zamzama iztirāb kuchh bhī na thā
ishq-e-ḳhāna-ḳharāb kuchh bhī na thā
merā sab kuchh thā sirf ek savāl
aur is kā javāb kuchh bhī na thā
saañs tak to gine-chune hue the
kuchh na thā be-hisāb kuchh bhī na thā
sajda-e-shukr ne bachāyā hai
varna merā savāb kuchh bhī na thā
ab tujhe dekh kar ye jaanā hai
vo jo dekhā thā ḳhvāb kuchh bhī na thā
zamzama iztirab kuchh bhi na tha
ishq-e-KHana-KHarab kuchh bhi na tha
mera sab kuchh tha sirf ek sawal
aur is ka jawab kuchh bhi na tha
sans tak to gine-chune hue the
kuchh na tha be-hisab kuchh bhi na tha
sajda-e-shukr ne bachaya hai
warna mera sawab kuchh bhi na tha
ab tujhe dekh kar ye jaana hai
wo jo dekha tha KHwab kuchh bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.