zanjir-e-intizar se mujhko riha kare
zanjīr-e-intizār se mujh ko rihā kare
ab ke baras to aan mile vo ḳhudā kare
ik aur iiñT gir ga.ī dīvār-e-umr kī
har roz mujh se Dūbtā sūraj kahā kare
aate haiñ aur log kudāleñ sambhāl kar
mīnāra-e-badan se kaho aasrā kare
jab dostoñ ke rābte bhī dushmanoñ se hoñ
mushkil paḌe to kis se koī mashvara kare
kamzor huuñ par itnā bhī kamzor maiñ nahīñ
dushman bhī raat din mire haq meñ duā kare
jo aap devtā vatan-e-shā.irī kā ho
mujh aisā kam-hunar use hairān kyā kare
guzre hue din ek dafa aa.e haiñ zarūr
nāsir bashīr dil se kaho hausla kare
zanjir-e-intizar se mujh ko riha kare
ab ke baras to aan mile wo KHuda kare
ek aur inT gir gai diwar-e-umr ki
har roz mujh se Dubta suraj kaha kare
aate hain aur log kudalen sambhaal kar
minara-e-badan se kaho aasra kare
jab doston ke rabte bhi dushmanon se hon
mushkil paDe to kis se koi mashwara kare
kamzor hun par itna bhi kamzor main nahin
dushman bhi raat din mere haq mein dua kare
jo aap dewta watan-e-shairi ka ho
mujh aisa kam-hunar use hairan kya kare
guzre hue din ek dafa aae hain zarur
nasir bashir dil se kaho hausla kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.