zanjir kaT ke kya giri aadhe safar ke bich
zanjīr kaT ke kyā girī aadhe safar ke biich
maiñ sar pakaḌ ke baiTh gayā rahguzar ke biich
utrā lahad meñ ḳhvāhishoñ ke saath aadmī
jaise musāfiroñ-bharī naav bhañvar ke biich
dushman se kyā bachā.eñgī ye jhāḌiyāñ mujhe
bachte nahīñ yahāñ to payambar shajar ke biich
jitnā uḌā maiñ utnā ulajhtā chalā gayā
ik tār-e-kam-numā thā mire bāl-o-par ke biich
dete ho dastakeñ yahāñ sar phoḌte ho vaañ
kuchh farq to ravā rakho dīvār-o-dar ke biich
ghar se chalā to ghar kī udāsī sisak uThī
maiñ ne use bhī rakh liyā raḳht-e-safar ke biich
thakne ke ham nahīñ the magar ab ke yuuñ huā
detā rahā fareb sitāra safar ke biich
merā sabhī ke saath ravayya hai ek sā
'shāhid' mujhe tamīz nahīñ ḳhair o shar ke biich
zanjir kaT ke kya giri aadhe safar ke bich
main sar pakaD ke baiTh gaya rahguzar ke bich
utra lahad mein KHwahishon ke sath aadmi
jaise musafiron-bhari naw bhanwar ke bich
dushman se kya bachaengi ye jhaDiyan mujhe
bachte nahin yahan to payambar shajar ke bich
jitna uDa main utna ulajhta chala gaya
ek tar-e-kam-numa tha mere baal-o-par ke bich
dete ho dastaken yahan sar phoDte ho wan
kuchh farq to rawa rakho diwar-o-dar ke bich
ghar se chala to ghar ki udasi sisak uThi
main ne use bhi rakh liya raKHt-e-safar ke bich
thakne ke hum nahin the magar ab ke yun hua
deta raha fareb sitara safar ke bich
mera sabhi ke sath rawayya hai ek sa
'shahid' mujhe tamiz nahin KHair o shar ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.