zanjir ne ki jumbish wahshat ne li angDai
zanjir ne ki jumbish wahshat ne li angDai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
zanjīr ne kī jumbish vahshat ne lī añgḌā.ī
shāyad ki bahār aa.ī shāyad ki bahār aa.ī
yak-rañgī-o-yaksūī yakjihatī-o-yakjā.ī
kahte haiñ junūñ jis ko hai asl meñ dānā.ī
itnā to batā ai dil ye kaun sī manzil hai
ab ḳhud hī tamāshā huuñ aur ḳhud hī tamāshā.ī
dīvāna huuñ maiñ be-shak dīvāna magar kis kā
pūchhe to koī un se ye kis kī hai rusvā.ī
mumkin jo nahīñ terā duniyā meñ hameñ milnā
mahshar hī meñ mil leñge tujh se tire shaidā.ī
ye sāqi-e-mehvish hai vo jām-e-mai-e-rañgīñ
hai aur kahāñ jannat jannat ke tamannā.ī
be-vaj.h se taskīñ hai kyuuñ aaj 'sahar' mujh ko
kaun aayā hai ghar mere vo haiñ ki qazā aa.ī
zanjir ne ki jumbish wahshat ne li angDai
shayad ki bahaar aai shayad ki bahaar aai
yak-rangi-o-yaksui yakjihati-o-yakjai
kahte hain junun jis ko hai asl mein danai
itna to bata ai dil ye kaun si manzil hai
ab KHud hi tamasha hun aur KHud hi tamashai
diwana hun main be-shak diwana magar kis ka
puchhe to koi un se ye kis ki hai ruswai
mumkin jo nahin tera duniya mein hamein milna
mahshar hi mein mil lenge tujh se tere shaidai
ye saqi-e-mehwish hai wo jam-e-mai-e-rangin
hai aur kahan jannat jannat ke tamannai
be-wajh se taskin hai kyun aaj 'sahar' mujh ko
kaun aaya hai ghar mere wo hain ki qaza aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.