zara andaz-e-qaza ab ke kaDa lagta hai
zarā andāz-e-qazā ab ke kaḌā lagtā hai
vo nayā yaar mirā shoḳh baḌā lagtā hai
kabhī hamdard kabhī dard-fazā lagtā hai
vo sitam-gar hai magar hosh-rubā lagtā hai
be-niyāzī to hai dastūr-e-hasīnāñ lekin
vo hasīñ ho ke hasīnoñ se judā lagtā hai
kabhī dīdār karā.e kabhī bāteñ kar le
kabhī guftār se ḳhud mujh pe fidā lagtā hai
kabhī paikān-e-nazar se mujhe ghāyal kar de
kabhī nazroñ se sarāpā-e-hayā lagtā hai
kabhī qurbān lage tarz-e-takallum se vo
kabhī maiñ baat karūñ to bhī ḳhafā lagtā hai
sabab-e-zulmat-e-dil bhī haiñ usī kī yādeñ
mire dil kā vahī zau-rez diyā lagtā hai
maiñ ne har baar mohabbat meñ jafā paa.ī hai
magar is baar vo pāband-e-vafā lagtā hai
ye mirī ḳhām-ḳhayālī hai haqīqat ye hai
vo bhī qātil hai faqat vaar nayā lagtā hai
yahī ab rāy-e-ḳhirad hai ki bhulā duuñ us ko
jo ki afkār-o-taḳhayyul meñ basā lagtā hai
vahī anjām huā jis se hirāsāñ thā dil
dil-e-majrūh kā har zaḳhm khulā lagtā hai
zara andaz-e-qaza ab ke kaDa lagta hai
wo naya yar mera shoKH baDa lagta hai
kabhi hamdard kabhi dard-faza lagta hai
wo sitam-gar hai magar hosh-ruba lagta hai
be-niyazi to hai dastur-e-hasinan lekin
wo hasin ho ke hasinon se juda lagta hai
kabhi didar karae kabhi baaten kar le
kabhi guftar se KHud mujh pe fida lagta hai
kabhi paikan-e-nazar se mujhe ghayal kar de
kabhi nazron se sarapa-e-haya lagta hai
kabhi qurban lage tarz-e-takallum se wo
kabhi main baat karun to bhi KHafa lagta hai
sabab-e-zulmat-e-dil bhi hain usi ki yaaden
mere dil ka wahi zau-rez diya lagta hai
main ne har bar mohabbat mein jafa pai hai
magar is bar wo paband-e-wafa lagta hai
ye meri KHam-KHayali hai haqiqat ye hai
wo bhi qatil hai faqat war naya lagta hai
yahi ab ray-e-KHirad hai ki bhula dun us ko
jo ki afkar-o-taKHayyul mein basa lagta hai
wahi anjam hua jis se hirasan tha dil
dil-e-majruh ka har zaKHm khula lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.