zara badla nahin jina hamara
zarā badlā nahīñ jiinā hamārā
vahī nāḳhun vahī siina hamārā
tire hāthoñ kī be-dhyānī se ik din
udhaḌ jā.egā pashmīna hamārā
jise ham dekh kar ḳhush rah rahe haiñ
use khā jā.egā kiina hamārā
udhar dekho ki dhuñdlā paḌ gayā hai
tumhārā 'aks ā.īna hamārā
salāmat haiñ tirī yādoñ ke nāḳhun
harā hai zaḳhm-e-pārīna hamārā
zara badla nahin jina hamara
wahi naKHun wahi sina hamara
tere hathon ki be-dhyani se ek din
udhaD jaega pashmina hamara
jise hum dekh kar KHush rah rahe hain
use kha jaega kina hamara
udhar dekho ki dhundla paD gaya hai
tumhaara 'aks aaina hamara
salamat hain teri yaadon ke naKHun
hara hai zaKHm-e-parina hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.