zara badla nahin manzar wahi hai
zarā badlā nahīñ manzar vahī hai
vahī hai dasht ye lashkar vahī hai
na.ī hai kuchh badan meñ be-qarārī
magar kamra vahī bistar vahī hai
vahī vahshat jagātī aañkh us kī
yahāñ bhī dil vahī hai sar vahī hai
dhaḌaktā kyuuñ nahīñ hai is tarah dil
agar ye vo galī hai ghar vahī hai
vahī talḳhī hai din āġhāz hote
vahī daftar mirā afsar vahī hai
nahīñ bante vo ḳhadd-o-ḳhāl 'ḳhāvar'
vahī hai chaak kūza-gar vahī hai
zara badla nahin manzar wahi hai
wahi hai dasht ye lashkar wahi hai
nai hai kuchh badan mein be-qarari
magar kamra wahi bistar wahi hai
wahi wahshat jagati aankh us ki
yahan bhi dil wahi hai sar wahi hai
dhaDakta kyun nahin hai is tarah dil
agar ye wo gali hai ghar wahi hai
wahi talKHi hai din aaghaz hote
wahi daftar mera afsar wahi hai
nahin bante wo KHadd-o-KHal 'KHawar'
wahi hai chaak kuza-gar wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.