zara bhi dam tere bimar-e-na-tawan mein nahin
zarā bhī dam tire bīmār-e-nā-tavāñ meñ nahīñ
makāñ meñ yuuñ hai ki jaise koī makāñ meñ nahīñ
vo chheḌ chheḌ ke pūchheñ na dil ke dard kā haal
kaho zabāñ se ye tāqat mirī zabāñ meñ nahīñ
chaman meñ kis ke liye bijliyāñ taḌaptī haiñ
gul āshiyāñ meñ nahīñ shāḳh āshiyāñ meñ nahīñ
tumhāre dar se uThātā hai kyoñ hameñ darbāñ
kuchh aise la.al lage sang-e-āstāñ meñ nahīñ
maiñ sar-ba-kaf huuñ vo ḳhanjar-ba-kaf haiñ maqtal meñ
ajal se kah do ki ab der imtihāñ meñ nahīñ
kareñge vo nigah-e-nāz se hadaf dil ko
chaḌhī kamān hai nāvak magar kamān meñ nahīñ
jigar ne jī jo churāyā to dil pukār uThThā
sharīk-e-hāl mirā koī imtihāñ meñ nahīñ
nazar na kī mire hāl-e-tabāh par us ne
ye kah diyā ki asar kuchh mirī fuġhāñ meñ nahīñ
masal ye ek zamāne meñ sunte aa.e haiñ
na ho makīn to raunaq koī makāñ meñ nahīñ
jo phuul aaj kaf-e-gul-farosh meñ dekhā
vo bāġhbāñ ke bhī ab vahm meñ gumāñ meñ nahīñ
ye lutf pūchhiye kuchh aap marne vāloñ se
janāb-e-ḳhizr mazā umr-e-jāvedāñ meñ nahīñ
sunā ki qissa-e-'safdar' hai dard se ḳhālī
maze kī chiiz yahī thī jo dāstāñ meñ nahīñ
zara bhi dam tere bimar-e-na-tawan mein nahin
makan mein yun hai ki jaise koi makan mein nahin
wo chheD chheD ke puchhen na dil ke dard ka haal
kaho zaban se ye taqat meri zaban mein nahin
chaman mein kis ke liye bijliyan taDapti hain
gul aashiyan mein nahin shaKH aashiyan mein nahin
tumhaare dar se uThata hai kyon hamein darban
kuchh aise lal lage sang-e-astan mein nahin
main sar-ba-kaf hun wo KHanjar-ba-kaf hain maqtal mein
ajal se kah do ki ab der imtihan mein nahin
karenge wo nigah-e-naz se hadaf dil ko
chaDhi kaman hai nawak magar kaman mein nahin
jigar ne ji jo churaya to dil pukar uThTha
sharik-e-haal mera koi imtihan mein nahin
nazar na ki mere haal-e-tabah par us ne
ye kah diya ki asar kuchh meri fughan mein nahin
masal ye ek zamane mein sunte aae hain
na ho makin to raunaq koi makan mein nahin
jo phul aaj kaf-e-gul-farosh mein dekha
wo baghban ke bhi ab wahm mein guman mein nahin
ye lutf puchhiye kuchh aap marne walon se
janab-e-KHizr maza umr-e-jawedan mein nahin
suna ki qissa-e-'safdar' hai dard se KHali
maze ki chiz yahi thi jo dastan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.