zara bhi dil mein judai ka gham nahin rakhte
zarā bhī dil meñ judā.ī kā ġham nahīñ rakhte
bichhaḌ gayā jo use yaad ham nahīñ rakhte
ḳhabar jo hotī hameñ qāfiloñ ke luTne kī
to aisī raah meñ hargiz qadam nahīñ rakhte
unhīñ ko hukm milā hai fasāna likhne kā
jo apnī jeb meñ koī qalam nahīñ rakhte
dikhā.ī detī nahīñ ab saf-e-azā-dārāñ
yahāñ ke log bhī koī alam nahīñ rakhte
jalā ke raakh kiyā jis ne muft meñ ham ko
ham aise shaḳhs ko ab mohtaram nahīñ rakhte
yahāñ to apnī basīrat pe naaz hai sab ko
yahāñ ke log koī jām-e-jam nahīñ rakhte
zara bhi dil mein judai ka gham nahin rakhte
bichhaD gaya jo use yaad hum nahin rakhte
KHabar jo hoti hamein qafilon ke luTne ki
to aisi rah mein hargiz qadam nahin rakhte
unhin ko hukm mila hai fasana likhne ka
jo apni jeb mein koi qalam nahin rakhte
dikhai deti nahin ab saf-e-aza-daran
yahan ke log bhi koi alam nahin rakhte
jala ke rakh kiya jis ne muft mein hum ko
hum aise shaKHs ko ab mohtaram nahin rakhte
yahan to apni basirat pe naz hai sab ko
yahan ke log koi jam-e-jam nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.