zara bhi shor maujon ka nahin hai
zarā bhī shor maujoñ kā nahīñ hai
safīna to koī Duubā nahīñ hai
tumhārā husn kyā hai kyā nahīñ hai
tumheñ ḳhud is kā andāzā nahīñ hai
tirī mahfil kā kis se haal pūchheñ
vahāñ jā kar koī palTā nahīñ hai
ye mai-ḳhāna hai ik jā-e-muqaddas
chale aao yahāñ dhokā nahīñ hai
vo is par ho ga.e haiñ aur barham
ki 'rāhī' ko koī shikvā nahīñ hai
zara bhi shor maujon ka nahin hai
safina to koi Duba nahin hai
tumhaara husn kya hai kya nahin hai
tumhein KHud is ka andaza nahin hai
teri mahfil ka kis se haal puchhen
wahan ja kar koi palTa nahin hai
ye mai-KHana hai ek ja-e-muqaddas
chale aao yahan dhoka nahin hai
wo is par ho gae hain aur barham
ki 'rahi' ko koi shikwa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.