zara dekhen rafiq-e-karwan manzil kahan tak hai
Interesting Fact
(8th April, 1956) (Bazm-e-Makhmur Dehlvi)
zarā dekheñ rafīq-e-kārvāñ manzil kahāñ tak hai
isī se kuchh ho andāza sukūñ hāsil kahāñ tak hai
ye duniyā haañ ye duniyā kāmgār-e-dil kahāñ tak hai
kanār-e-mauj meñ gunjā.ish-e-sāhil kahāñ tak hai
batā.ūñ kyā hayāt-āsūda merā dil kahāñ tak hai
mujhe marġhūb ye tartīb-e-āb-o-gil kahāñ tak hai
koī nāqis kahāñ tak hai koī kāmil kahāñ tak hai
bajā ye faisla karne meñ merā dil kahāñ tak hai
parā.e dil pe mujh ko dastaras hāsil kahāñ tak hai
jise apnā samajhtā huuñ vo merā dil kahāñ tak hai
baḌhī to hai tirī tasvīr se āġhosh kī zīnat
mirā pahlū tirī tasvīr ke qābil kahāñ tak hai
tum apne dil se ḳhud pūchho ye pursish kis liye mujh se
mirī sa.i-e-mohabbat sa.i-e-lā-hāsil kahāñ tak hai
ho kuchh is kā bhī andāza dam-e-hañgāma-ārā.ī
mirī mamnūn terī garmī-e-mahfil kahāñ tak hai
tarīq-e-ishq ke sālik to haiñ lākhoñ zamāne meñ
tarīq-e-ishq meñ lekin koī kāmil kahāñ tak hai
azal kuchh raushnī Daale abad uqda ye kuchh khole
tirī mahfil kahāñ se hai tirī mahfil kahāñ tak hai
bayān-e-dil ke sunñe ko to ham tayyār baiThe haiñ
sazā-vār-e-yaqīñ lekin bayān-e-dil kahāñ tak hai
mujhe muḳhtār kahne vaale ye bhī ġhaur farmā.eñ
mirī taqdīr meñ merī razā shāmil kahāñ tak hai
sahar hone ko hai gul sham.a hai ruḳhsat haiñ parvāne
bajā ab e'tibār-e-garmī-e-mahfil kahāñ tak hai
nahīñ āsān merī mushkiloñ kā jā.eza lenā
tujhe mushkil-kushā andāza-e-mushkil kahāñ tak hai
kahīñ aisā na ho maujeñ bahā le jaa.eñ kashtī ko
nigahbānī ke qābil dekhnā sāhil kahāñ tak hai
musāfir do qadam bas chal ke ye da.avā-e-āgāhī
ḳhabar bhī hai tujhe tū vāqif-e-manzil kahāñ tak hai
taqāzā-e-mizāj-e-dil kī hai takmīl to mumkin
tahammul-āshnā lekin mizāj-e-dil kahāñ tak hai
jo dil vaale haiñ un kā tajraba tum ko batā.egā
bisāt-e-zindagī meñ iḳhtiyār-e-dil kahāñ tak hai
mirī kashtī bhañvar meñ hai yaqīnan Duub jā.egī
rifāqat ke liye tayyār ab sāhil kahāñ tak hai
mirī ḳhuddāriyāñ 'tālib' haiñ mere ijz kā parda
kahūñ kyā sabr kā yaarā dam-e-mushkil kahāñ tak hai
zara dekhen rafiq-e-karwan manzil kahan tak hai
isi se kuchh ho andaza sukun hasil kahan tak hai
ye duniya han ye duniya kaamgar-e-dil kahan tak hai
kanar-e-mauj mein gunjaish-e-sahil kahan tak hai
bataun kya hayat-asuda mera dil kahan tak hai
mujhe marghub ye tartib-e-ab-o-gil kahan tak hai
koi naqis kahan tak hai koi kaamil kahan tak hai
baja ye faisla karne mein mera dil kahan tak hai
parae dil pe mujh ko dastaras hasil kahan tak hai
jise apna samajhta hun wo mera dil kahan tak hai
baDhi to hai teri taswir se aaghosh ki zinat
mera pahlu teri taswir ke qabil kahan tak hai
tum apne dil se KHud puchho ye pursish kis liye mujh se
meri sai-e-mohabbat sai-e-la-hasil kahan tak hai
ho kuchh is ka bhi andaza dam-e-hangama-arai
meri mamnun teri garmi-e-mahfil kahan tak hai
tariq-e-ishq ke salik to hain lakhon zamane mein
tariq-e-ishq mein lekin koi kaamil kahan tak hai
azal kuchh raushni Dale abad uqda ye kuchh khole
teri mahfil kahan se hai teri mahfil kahan tak hai
bayan-e-dil ke sunne ko to hum tayyar baiThe hain
saza-war-e-yaqin lekin bayan-e-dil kahan tak hai
mujhe muKHtar kahne wale ye bhi ghaur farmaen
meri taqdir mein meri raza shamil kahan tak hai
sahar hone ko hai gul shama hai ruKHsat hain parwane
baja ab e'tibar-e-garmi-e-mahfil kahan tak hai
nahin aasan meri mushkilon ka jaeza lena
tujhe mushkil-kusha andaza-e-mushkil kahan tak hai
kahin aisa na ho maujen baha le jaen kashti ko
nigahbani ke qabil dekhna sahil kahan tak hai
musafir do qadam bas chal ke ye dawa-e-agahi
KHabar bhi hai tujhe tu waqif-e-manzil kahan tak hai
taqaza-e-mizaj-e-dil ki hai takmil to mumkin
tahammul-ashna lekin mizaj-e-dil kahan tak hai
jo dil wale hain un ka tajraba tum ko bataega
bisat-e-zindagi mein iKHtiyar-e-dil kahan tak hai
meri kashti bhanwar mein hai yaqinan Dub jaegi
rifaqat ke liye tayyar ab sahil kahan tak hai
meri KHuddariyan 'talib' hain mere ijz ka parda
kahun kya sabr ka yara dam-e-mushkil kahan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.