zara dekhiye to ghazab Dha rahe hain
zarā dekhiye to ġhazab Dhā rahe haiñ
ġhazal ke bahāne sunā kyā rahe haiñ
kitāboñ meñ jo phuul murjhā ga.e the
baġhāvat ke parcham nazar aa rahe haiñ
kabhī zindagī kā ujālā hamīñ the
hamīñ aañkh meñ ab chubhe jā rahe haiñ
kareñ kaise chāragaroñ pe bharosā
maraz kaun sā hai batā kyā rahe haiñ
safīna hamārā ḳhudā ke havāle
hameñ kyā ḳhabar bas chale jā rahe haiñ
zara dekhiye to ghazab Dha rahe hain
ghazal ke bahane suna kya rahe hain
kitabon mein jo phul murjha gae the
baghawat ke parcham nazar aa rahe hain
kabhi zindagi ka ujala hamin the
hamin aankh mein ab chubhe ja rahe hain
karen kaise chaaragaron pe bharosa
maraz kaun sa hai bata kya rahe hain
safina hamara KHuda ke hawale
hamein kya KHabar bas chale ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.