Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara dekhna KHaksari hamari

Shad Lakhnavi

zara dekhna KHaksari hamari

Shad Lakhnavi

zarā dekhnā ḳhāksārī hamārī

milī ḳhaak meñ ḳhaak saarī hamārī

use hashr meñ ai ḳhizar dekh leñge

agar zindagī hai tumhārī hamārī

ye kahte haiñ mizhgān-e-tar ko dikhā kar

bujhī zahr meñ hai kaTārī hamārī

vabāl-e-jahāñ haiñ ye aalam ke uupar

mare par bhī hai laash bhārī hamārī

hameñ tum ho rūh-e-ravāñ se ziyāda

tumheñ kuchh nahīñ jaan pyārī hamārī

baham rah sakeñ kis tarah aag paanī

nibhe dostī kyā tumhārī hamārī

mare par bhī ai 'shād' taqdīr bigḌī

kisī ne na uqbā sañvārī hamārī

zara dekhna KHaksari hamari

mili KHak mein KHak sari hamari

use hashr mein ai KHizar dekh lenge

agar zindagi hai tumhaari hamari

ye kahte hain mizhgan-e-tar ko dikha kar

bujhi zahr mein hai kaTari hamari

wabaal-e-jahan hain ye aalam ke upar

mare par bhi hai lash bhaari hamari

hamein tum ho ruh-e-rawan se ziyaada

tumhein kuchh nahin jaan pyari hamari

baham rah saken kis tarah aag pani

nibhe dosti kya tumhaari hamari

mare par bhi ai 'shad' taqdir bigDi

kisi ne na uqba sanwari hamari

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now