zara dekho ki manzar aasman ke par bhi to hai
zarā dekho ki manzar āsmāñ ke paar bhī to hai
safar hai shart thoḌā jism-o-jāñ ke paar bhī to hai
zarūrī to nahīñ har lafz tum par munkashif ho jaa.e
ki ik kirdār tūl-e-dāstāñ ke paar bhī to hai
abhī se mātam-e-fasl-e-bahārāñ hai nahīñ jaa.ez
gul-e-afsurdagī fasl-e-ḳhizāñ ke paar bhī to hai
bahut ro.e ho lekin daftar-e-ġham tah nahīñ karnā
abhī ik bahr-e-ḳhūñ āh-o-fuġhāñ ke paar bhī to hai
nahīñ mahdūd bas is ḳhāk-dāñ tak ishq kī shorish
sadā-e-dard jaarī lā-makāñ ke paar bhī to hai
arūz-o-ma.anī-o-ilm-e-bayāñ uslūb sab barsar
suḳhan pinhāñ koī zor-e-bayāñ ke paar bhī to hai
zara dekho ki manzar aasman ke par bhi to hai
safar hai shart thoDa jism-o-jaan ke par bhi to hai
zaruri to nahin har lafz tum par munkashif ho jae
ki ek kirdar tul-e-dastan ke par bhi to hai
abhi se matam-e-fasl-e-bahaaran hai nahin jaez
gul-e-afsurdagi fasl-e-KHizan ke par bhi to hai
bahut roe ho lekin daftar-e-gham tah nahin karna
abhi ek bahr-e-KHun aah-o-fughan ke par bhi to hai
nahin mahdud bas is KHak-dan tak ishq ki shorish
sada-e-dard jari la-makan ke par bhi to hai
aruz-o-mani-o-ilm-e-bayan uslub sab barsar
suKHan pinhan koi zor-e-bayan ke par bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.