zara dur jaana nahin chahta hai
zarā duur jaanā nahīñ chāhtā hai
koī bhī Thikānā nahīñ chāhtā hai
kare hai koī chāra-gar chārā-jūī
davā bhī khilānā nahīñ chāhtā hai
huī jab se vīrān dil kī havelī
koī ānā-jānā nahīñ chāhtā hai
merī tarah ye bām-o-dar aur ghar bhī
koī muskurānā nahīñ chāhtā hai
ka.ī baar jhāñse meñ aaya magar ab
parinda Thikānā nahīñ chāhtā hai
suḳhan-goī jis din se raas aa.ī dil ko
ye dukhḌe sunānā nahīñ chāhtā hai
zara dur jaana nahin chahta hai
koi bhi Thikana nahin chahta hai
kare hai koi chaara-gar chaara-jui
dawa bhi khilana nahin chahta hai
hui jab se viran dil ki haweli
koi aana-jaana nahin chahta hai
meri tarah ye baam-o-dar aur ghar bhi
koi muskurana nahin chahta hai
kai bar jhanse mein aaya magar ab
parinda Thikana nahin chahta hai
suKHan-goi jis din se ras aai dil ko
ye dukhDe sunana nahin chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.