zara lab hila de agar tu hai zinda
zarā lab hilā de agar tū hai zinda
koī to sadā de agar tū hai zinda
makāñ kis kā hogā zamīñ kis kī hogī
ye jhagḌā miTā de agar tū hai zinda
sab ahbāb bhūke hī baiThe hue haiñ
kuchh un ko khilā de agar tū hai zinda
kafan kaale sandūq meñ hī paḌā hai
ḳhud uTh ke batā de agar tū hai zinda
tirī saañs thamne ke sab muntazir haiñ
galā ḳhud dabā de agar tū hai zinda
ḳhudā ke sivā terā koī nahīñ hai
munādī karā de agar tū hai zinda
ḳhudā tujh ko ab maut de de mukammal
yahī ik du'ā de agar tū hai zinda
zara lab hila de agar tu hai zinda
koi to sada de agar tu hai zinda
makan kis ka hoga zamin kis ki hogi
ye jhagDa miTa de agar tu hai zinda
sab ahbab bhuke hi baiThe hue hain
kuchh un ko khila de agar tu hai zinda
kafan kale sanduq mein hi paDa hai
KHud uTh ke bata de agar tu hai zinda
teri sans thamne ke sab muntazir hain
gala KHud daba de agar tu hai zinda
KHuda ke siwa tera koi nahin hai
munadi kara de agar tu hai zinda
KHuda tujh ko ab maut de de mukammal
yahi ek du'a de agar tu hai zinda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.