zara maza nahin aaya kalam kar ke mujhe
zara maza nahin aaya kalam kar ke mujhe
Syed Zamin Abbas Kazmi
MORE BYSyed Zamin Abbas Kazmi
zarā maza nahīñ aayā kalām kar ke mujhe
kisī ne rok liyā thā salām kar ke mujhe
maiñ is pe ḳhush huuñ mirā dost hai mirā afsar
vo mujh se chār-gunā ḳhush ġhulām kar ke mujhe
safar bhī ab ke garāñ hai bahut tabī.at par
sukūñ bhī pal ko nahīñ hai qayām kar ke mujhe
vo mujh se pūchh rahā thā vafā ke baare meñ
koī sila bhī milegā ye kaam kar ke mujhe
zara maza nahin aaya kalam kar ke mujhe
kisi ne rok liya tha salam kar ke mujhe
main is pe KHush hun mera dost hai mera afsar
wo mujh se chaar-guna KHush ghulam kar ke mujhe
safar bhi ab ke garan hai bahut tabiat par
sukun bhi pal ko nahin hai qayam kar ke mujhe
wo mujh se puchh raha tha wafa ke bare mein
koi sila bhi milega ye kaam kar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.