zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko
zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
zarā mushkil se samjheñge hamāre tarjumāñ ham ko
abhī dohrā rahī hai ḳhud hamārī dāstāñ ham ko
kisī ko kyā ḳhabar patthar ke pairoñ par khaḌe haiñ ham
sadāoñ par sadā.eñ de rahe haiñ kārvāñ ham ko
ham aise sūrmā haiñ laḌ ke jab hālāt se palTe
to baḌh ke zindagī ne pesh kiiñ baisākhiyāñ ham ko
sambhālā hosh jab ham ne to kuchh muḳhlis azīzoñ ne
ka.ī chehre diye aur ek patthar kī zabāñ ham ko
uThā hai shor ḳhud apne hī andar se magar aksar
dahal ke band kar lenā paḌī haiñ khiḌkiyāñ ham ko
ham apne jism meñ bikhre hue haiñ ret kī sūrat
sameTeñgī kahāñ tak zindagī kī muTThiyāñ ham ko
bichhaḌ ke bhiiḌ meñ ḳhud se havāsoñ kā vo aalam thā
ki muñh khole hue taktī rahīñ parchhā.iyāñ ham ko
zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko
abhi dohra rahi hai KHud hamari dastan hum ko
kisi ko kya KHabar patthar ke pairon par khaDe hain hum
sadaon par sadaen de rahe hain karwan hum ko
hum aise surma hain laD ke jab haalat se palTe
to baDh ke zindagi ne pesh kin baisakhiyan hum ko
sambhaala hosh jab hum ne to kuchh muKHlis azizon ne
kai chehre diye aur ek patthar ki zaban hum ko
uTha hai shor KHud apne hi andar se magar aksar
dahal ke band kar lena paDi hain khiDkiyan hum ko
hum apne jism mein bikhre hue hain ret ki surat
sameTengi kahan tak zindagi ki muTThiyan hum ko
bichhaD ke bhiD mein KHud se hawason ka wo aalam tha
ki munh khole hue takti rahin parchhaiyan hum ko
- Book : Goonj (Pg. 73)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.