zara sa bewafa sa ho gaya hun
zarā sā bevafā sā ho gayā huuñ
tirī sohbat kī ye tāsīr hai kyā
koī pattā talak hiltā nahīñ hai
havā ke pair meñ zanjīr hai kyā
nazar terī se bhī kyā ḳhauf khānā
nazar terī koī shamshīr hai kyā
tire likhe ko maiñ sach maan baiThūñ
ḳhudā ke haath kī tahrīr hai kyā
zara sa bewafa sa ho gaya hun
teri sohbat ki ye tasir hai kya
koi patta talak hilta nahin hai
hawa ke pair mein zanjir hai kya
nazar teri se bhi kya KHauf khana
nazar teri koi shamshir hai kya
tere likhe ko main sach man baiThun
KHuda ke hath ki tahrir hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.