zara sa jhank lo in be-qarar aankhon mein
zara sa jhank lo in be-qarar aankhon mein
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
zarā sā jhāñk lo in be-qarār āñkhoñ meñ
dikhā.ī degā tumhārā dayār āñkhoñ meñ
garāñ hue mire dilbar firāq ke lamhe
ubhar ke dil se chalā aayā pyaar āñkhoñ meñ
zahe-nasīb ruḳh-e-nāz gar nazar aa.e
basā ke rakh luuñ maiñ jān-e-bahār āñkhoñ meñ
kahāñ qayām hai jān-e-jigar batā de zarā
yahī savāl uThā baar baar āñkhoñ meñ
tumhārī yaad meñ mashġhūl ho ga.iiñ jab se
ḳhizāñ kī fasl meñ aa.ī bahār āñkhoñ meñ
zamīn-e-ashk pe chhā.ī hai is qadar ḳhushkī
jagah jagah pe paḌī hai darār āñkhoñ meñ
na hoñ vo ḳhīrā tajallī ko dekh kar terī
vo tāb-e-dīd de parvardigār āñkhoñ meñ
rukī rukī sī haiñ nazreñ tumhārī rāhoñ par
thamā thamā sā hai dil kā qarār āñkhoñ meñ
dikhā do chehra ki dam toḌtī haiñ ab sāñseñ
umiid ho na kahīñ taar taar āñkhoñ meñ
tumhāre hijr meñ nargis bhī ḳhuun rotī hai
liye hai ashk musalsal bahār āñkhoñ meñ
jo maut hasrat-e-dīdār meñ mujhe aa.ī
tumhārī yaad kā hogā mazār āñkhoñ meñ
'falak gavāh hai ro ro ke paḌ ga.e halqe
basā huā hai tirā intizār āñkhoñ meñ
zara sa jhank lo in be-qarar aankhon mein
dikhai dega tumhaara dayar aankhon mein
garan hue mere dilbar firaq ke lamhe
ubhar ke dil se chala aaya pyar aankhon mein
zahe-nasib ruKH-e-naz gar nazar aae
basa ke rakh lun main jaan-e-bahaar aankhon mein
kahan qayam hai jaan-e-jigar bata de zara
yahi sawal uTha bar bar aankhon mein
tumhaari yaad mein mashghul ho gain jab se
KHizan ki fasl mein aai bahaar aankhon mein
zamin-e-ashk pe chhai hai is qadar KHushki
jagah jagah pe paDi hai darar aankhon mein
na hon wo KHira tajalli ko dekh kar teri
wo tab-e-did de parwardigar aankhon mein
ruki ruki si hain nazren tumhaari rahon par
thama thama sa hai dil ka qarar aankhon mein
dikha do chehra ki dam toDti hain ab sansen
umid ho na kahin tar tar aankhon mein
tumhaare hijr mein nargis bhi KHun roti hai
liye hai ashk musalsal bahaar aankhon mein
jo maut hasrat-e-didar mein mujhe aai
tumhaari yaad ka hoga mazar aankhon mein
'falak gawah hai ro ro ke paD gae halqe
basa hua hai tera intizar aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.