zara sa rang hi bhar do mere dil ke fasane mein
zara sa rang hi bhar do mere dil ke fasane mein
Munawwar Jahan Munawwar
MORE BYMunawwar Jahan Munawwar
zarā sā rang hī bhar do mire dil ke fasāne meñ
bhalā kyā der hogī tum ko mere paas aane meñ
ghuTan ke baa'd jab dil ko zarā ārām miltā hai
maza aatā hai kitnā gungunāne muskurāne meñ
mujhe mā'lūm hai harjā.ī dhoke-bāz hai kitnā
ki aise log bhī hote hī haiñ āḳhir zamāne meñ
chhupā luuñ rāz-e-dil kitnā hī ik din khul ke rahtā hai
to phir be-kār hai duniyā se chhupne aur chhupāne meñ
'munavvar' ko samajh na paa.e kyoñ jaane jahāñ vaale
milegā kab koī mujh jaisā sāda-dil zamāne meñ
zara sa rang hi bhar do mere dil ke fasane mein
bhala kya der hogi tum ko mere pas aane mein
ghuTan ke ba'd jab dil ko zara aaram milta hai
maza aata hai kitna gungunane muskurane mein
mujhe ma'lum hai harjai dhoke-baz hai kitna
ki aise log bhi hote hi hain aaKHir zamane mein
chhupa lun raaz-e-dil kitna hi ek din khul ke rahta hai
to phir be-kar hai duniya se chhupne aur chhupane mein
'munawwar' ko samajh na pae kyon jaane jahan wale
milega kab koi mujh jaisa sada-dil zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.