zara sa waqt lagta hai koi rishta banane mein
zarā sā vaqt lagtā hai koī rishta banāne meñ
kaleja suukh jaatā hai magar is ko nibhāne meñ
kisī kī yaad jīvan bhar kisī ke saath rahtī hai
kisī ko pal nahīñ lagtā kisī ko bhuul jaane meñ
mohabbat aur takalluf meñ hai itnā farq ki jitnā
kisī but kī parastish meñ aur us se ghar sajāne meñ
bahut hairān huuñ maiñ dekh kar bārish kā ye aalam
abhī to vaqt baaqī hai yahāñ sāvan ke aane meñ
ki maz.hab zaat aur kyā kyā haiñ paimāne mohabbat ke
ye sab kuchh jaan kar karnā mohabbat is zamāne meñ
ye dil itnī dafa TuuTā ki ab kuchh bhī nahīñ baaqī
vagarna 'soloman' jaatā hai kyā dil āzmāne meñ
zara sa waqt lagta hai koi rishta banane mein
kaleja sukh jata hai magar is ko nibhane mein
kisi ki yaad jiwan bhar kisi ke sath rahti hai
kisi ko pal nahin lagta kisi ko bhul jaane mein
mohabbat aur takalluf mein hai itna farq ki jitna
kisi but ki parastish mein aur us se ghar sajaane mein
bahut hairan hun main dekh kar barish ka ye aalam
abhi to waqt baqi hai yahan sawan ke aane mein
ki mazhab zat aur kya kya hain paimane mohabbat ke
ye sab kuchh jaan kar karna mohabbat is zamane mein
ye dil itni dafa TuTa ki ab kuchh bhi nahin baqi
wagarna 'soloman' jata hai kya dil aazmane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.