zara se dauraniye ki ulfat ko jawedana bana raha hun
zara se dauraniye ki ulfat ko jawedana bana raha hun
Mohammad Owais Malik
MORE BYMohammad Owais Malik
zarā se daurāniye kī ulfat ko jāvedāna banā rahā huuñ
maiñ ek bālisht bhar mohabbat se ik fasāna banā rahā huuñ
mujhe vafāoñ ke qaht kā ek saḳht mausam guzārnā hai
mohabbatoñ ko hanūt kar ke nigār-ḳhāna banā rahā huuñ
jo par kaTe maslahat-pasandī meñ shāḳh-e-dil par ruke hue the
maiñ un parindoñ se sāda-lauhī meñ dostāna banā rahā huuñ
ġhazab kī chingāriyāñ to dildāriyoñ kī shabnam se sard hoñgī
maiñ talḳh lahjoñ ko narm lafzoñ se mushfiqāna banā rahā huuñ
havā tanābeñ ukheḌ Daale ki sā.ebāñ ko udheḌ Daale
maiñ ḳhauf se be-niyāz ho kar ye āshiyāna banā rahā huuñ
jahāñ maiñ ab ḳhema-zan huā thā vahāñ se chashma ubal paḌā hai
so muḳhtasar se paḌāv ko mustaqil Thikāna banā rahā huuñ
zara se dauraniye ki ulfat ko jawedana bana raha hun
main ek baalisht bhar mohabbat se ek fasana bana raha hun
mujhe wafaon ke qaht ka ek saKHt mausam guzarna hai
mohabbaton ko hanut kar ke nigar-KHana bana raha hun
jo par kaTe maslahat-pasandi mein shaKH-e-dil par ruke hue the
main un parindon se sada-lauhi mein dostana bana raha hun
ghazab ki chingariyan to dildariyon ki shabnam se sard hongi
main talKH lahjon ko narm lafzon se mushfiqana bana raha hun
hawa tanaben ukheD Dale ki saeban ko udheD Dale
main KHauf se be-niyaz ho kar ye aashiyana bana raha hun
jahan main ab KHema-zan hua tha wahan se chashma ubal paDa hai
so muKHtasar se paDaw ko mustaqil Thikana bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.