zara se gham ke liye jaan se guzar jaana
zarā se ġham ke liye jaan se guzar jaanā
mohabbatoñ meñ zarūrī nahīñ hai mar jaanā
kabhī lihāz na rakhnā kisī rivāyat kā
jo jī meñ aayā use ham ne mo'atabar jaanā
vo ret ret fazā meñ tirī sadā kā sarāb
vo be-irāda mirā raah meñ Thahar jaanā
tamām raat bhaTaknā tire ta.āqub meñ
tire ḳhayāl kī sab sīḌhiyāñ utar jaanā
vo man meñ chor liye phirnā tere saa.e kā
galī ke moḌ pe dīvār-o-dar se Dar jaanā
'shakīl' gaañv ke sab log so ga.e hoñge
ab itnī raat ko achchhā nahīñ hai ghar jaanā
zara se gham ke liye jaan se guzar jaana
mohabbaton mein zaruri nahin hai mar jaana
kabhi lihaz na rakhna kisi riwayat ka
jo ji mein aaya use hum ne mo'atabar jaana
wo ret ret faza mein teri sada ka sarab
wo be-irada mera rah mein Thahar jaana
tamam raat bhaTakna tere taaqub mein
tere KHayal ki sab siDhiyan utar jaana
wo man mein chor liye phirna tere sae ka
gali ke moD pe diwar-o-dar se Dar jaana
'shakil' ganw ke sab log so gae honge
ab itni raat ko achchha nahin hai ghar jaana
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 36)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.