zara si aankh lalchai hui thi
zarā sī aañkh lalchā.ī huī thī
hamārī ḳhuub rusvā.ī huī thī
javānī ḳhaar pe aa.ī huī thī
guloñ kī yaar rusvā.ī huī thī
hamārī aañkh se ḳhuuñ bah chalā thā
kisī kī yaad jab aa.ī huī thī
kiyā hai faisla un ko bhulā deñ
hamārī jaañ pe ban aa.ī huī thī
na.e ġham ab mileñge ḳhush huā dil
vagarna ziist ghabrā.ī huī thī
laboñ se aah niklī is sabab hī
jo dil par choT ik khaa.ī huī thī
nahīñ leñge vafā kā naam bhī ham
qasam ham ne 'dharam' khaa.ī huī thī
zara si aankh lalchai hui thi
hamari KHub ruswai hui thi
jawani KHar pe aai hui thi
gulon ki yar ruswai hui thi
hamari aankh se KHun bah chala tha
kisi ki yaad jab aai hui thi
kiya hai faisla un ko bhula den
hamari jaan pe ban aai hui thi
nae gham ab milenge KHush hua dil
wagarna zist ghabrai hui thi
labon se aah nikli is sabab hi
jo dil par choT ek khai hui thi
nahin lenge wafa ka nam bhi hum
qasam hum ne 'dharam' khai hui thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.