zara si aas jagae zara umang bhare
zarā sī aas jagā.e zarā umang bhare
koī to aa.e mirī zindagī meñ rang bhare
mire laboñ pe ujāle koī tabassum phir
mirī nigāh meñ jalvoñ ke jal-tarang bhare
kabhī to yuuñ bhī mirī fikr kī satā.ish ho
mire ḳhayāl kī parchhā.iyoñ meñ ang bhare
koī to zaḳhm lagāte ki jān-bar kartā
ki tum ye tiir bhī le aa.e kaise zang bhare
na toḌ merī ḳhamoshī ki tujh ko zaḳhm mileñ
jo pur-sukūn haiñ dariyā vo haiñ nahañg bhare
dil-o-dimāġh kī in qurbatoñ se larzāñ huuñ
maiñ sochtā huuñ koī aa.e in meñ jang bhare
abhī jo so.e haiñ 'anvar' uTheñge hashr ke din
hameñ vo jaam pilā.e ga.e haiñ bhang bhare
zara si aas jagae zara umang bhare
koi to aae meri zindagi mein rang bhare
mere labon pe ujale koi tabassum phir
meri nigah mein jalwon ke jal-tarang bhare
kabhi to yun bhi meri fikr ki sataish ho
mere KHayal ki parchhaiyon mein ang bhare
koi to zaKHm lagate ki jaan-bar karta
ki tum ye tir bhi le aae kaise zang bhare
na toD meri KHamoshi ki tujh ko zaKHm milen
jo pur-sukun hain dariya wo hain nahang bhare
dil-o-dimagh ki in qurbaton se larzan hun
main sochta hun koi aae in mein jang bhare
abhi jo soe hain 'anwar' uThenge hashr ke din
hamein wo jam pilae gae hain bhang bhare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.