zara si an-ban mein ruTh kar wo jo dushmanon mein Tahal rahe hain
zara si an-ban mein ruTh kar wo jo dushmanon mein Tahal rahe hain
Azhar Bakhsh Azhar
MORE BYAzhar Bakhsh Azhar
zarā sī an-ban meñ ruuTh kar vo jo dushmanoñ meñ Tahal rahe haiñ
abhī jo nauha bane hue haiñ kabhī hamārī ġhazal rahe haiñ
binā batā.e chalā gayā thā batā ke milne jo aa gayā huuñ
to ruuTh kar vo ga.e haiñ ghar meñ ḳhushī se chhup kar uchhal rahe haiñ
maraz huā hai mohabbatoñ kā ye raat kaise kaTegī jaane
hamārī nīñdeñ bhī uḌ chukī haiñ sanam bhī karvaT badal rahe haiñ
vikās kī hai 'ajīb sweater bunī na sattar baras se ab tak
ġharīb bunte haiñ jis ko har din amiir jis ko ukal rahe haiñ
jo ḳhuuñ bahā.e bane masīhā jo jhuuT bole bane vo hātim
vo a.alā qadreñ kahāñ ga.iiñ sab usuul saare badal rahe haiñ
vo ban ke dajjāl yuuñ uThā ke ḳhudā samajh kar bahak ga.e sab
hai shukr kuchh ko shu'ūr aayā hai shukr ab kuchh sambhal rahe haiñ
ye saḳht nafrat ye qatl-o-ġhārat ye mahñgī ashyā ye jhuuT vā'de
shikār kab tak jiyegā āḳhir vo tiir kitne badal rahe haiñ
bahut se dānoñ hue haiñ jag meñ magar ye 'az.har' baḌā hai sab se
chhupe haiñ Dar se jo devtā haiñ avaam ke dil dahal rahe haiñ
zara si an-ban mein ruTh kar wo jo dushmanon mein Tahal rahe hain
abhi jo nauha bane hue hain kabhi hamari ghazal rahe hain
bina batae chala gaya tha bata ke milne jo aa gaya hun
to ruTh kar wo gae hain ghar mein KHushi se chhup kar uchhal rahe hain
maraz hua hai mohabbaton ka ye raat kaise kaTegi jaane
hamari ninden bhi uD chuki hain sanam bhi karwaT badal rahe hain
wikas ki hai 'ajib sweater buni na sattar baras se ab tak
gharib bunte hain jis ko har din amir jis ko ukal rahe hain
jo KHun bahae bane masiha jo jhuT bole bane wo hatim
wo aala qadren kahan gain sab usul sare badal rahe hain
wo ban ke dajjal yun uTha ke KHuda samajh kar bahak gae sab
hai shukr kuchh ko shu'ur aaya hai shukr ab kuchh sambhal rahe hain
ye saKHt nafrat ye qatl-o-ghaarat ye mahngi ashya ye jhuT wa'de
shikar kab tak jiyega aaKHir wo tir kitne badal rahe hain
bahut se danon hue hain jag mein magar ye 'azhar' baDa hai sab se
chhupe hain Dar se jo dewta hain awam ke dil dahal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.