zara si baat ke kya kya bane hain afsane
zarā sī baat ke kyā kyā bane haiñ afsāne
hameñ junūñ hī sahī log kyoñ haiñ dīvāne
paḌe na kaam jahāñ dostoñ se kaam paḌā
vahīñ pe TuuT ga.e muddatoñ ke yārāne
nayā hai ahd marāsim ke haiñ na.e me.aar
badal ga.e haiñ ḳhulūs-o-vafā ke paimāne
pas-e-ġhubār to chehroñ ko ham ne dekh liyā
ye aur baat havāoñ ke ruḳh na pahchāne
gayā vo jalva vo jazba vo mahfileñ bhī ga.iiñ
na ab vo sham-e-farozāñ na ab vo parvāne
kise gumāñ thā ki ban jā.eñge raqīb vahī
vo ḳhair-ḳhvāh jo aate the ham ko samjhāne
hameñ to ḳhair shu.ūr-e-ḳhud-āgahī thā kahāñ
ye kyā ki ahl-e-nazar bhī hameñ na pahchāne
vo jāñ-nisārī-e-bāham vo pās-e-ahd-e-vafā
vo log 'bazm' kahāñ kho ga.e ḳhudā jaane
zara si baat ke kya kya bane hain afsane
hamein junun hi sahi log kyon hain diwane
paDe na kaam jahan doston se kaam paDa
wahin pe TuT gae muddaton ke yarane
naya hai ahd marasim ke hain nae mear
badal gae hain KHulus-o-wafa ke paimane
pas-e-ghubar to chehron ko hum ne dekh liya
ye aur baat hawaon ke ruKH na pahchane
gaya wo jalwa wo jazba wo mahfilen bhi gain
na ab wo sham-e-farozan na ab wo parwane
kise guman tha ki ban jaenge raqib wahi
wo KHair-KHwah jo aate the hum ko samjhane
hamein to KHair shuur-e-KHud-agahi tha kahan
ye kya ki ahl-e-nazar bhi hamein na pahchane
wo jaan-nisari-e-baham wo pas-e-ahd-e-wafa
wo log 'bazm' kahan kho gae KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.