zara si baat pe tum iKHtilaf kar lena
zarā sī baat pe tum iḳhtilāf kar lenā
magar vo sach kahe to e'tirāf kar lenā
diloñ meñ farq ho to chaar din nahīñ bantī
burī jo baat lage pahle saaf kar lenā
fareb jhuuT siyāsat kā jab chale sikka
ye mashvara hai mirā ai'takāf kar lenā
ye ehtiyāt tumheñ aur bhī zarūrī hai
mileñ jo phuul to kāñTe bhī saaf kar lenā
kahāñ se siikh lī duniyā meñ ye adā 'saifī'
har ek shaḳhs ko apne ḳhilāf kar lenā
zara si baat pe tum iKHtilaf kar lena
magar wo sach kahe to e'tiraf kar lena
dilon mein farq ho to chaar din nahin banti
buri jo baat lage pahle saf kar lena
fareb jhuT siyasat ka jab chale sikka
ye mashwara hai mera ai'takaf kar lena
ye ehtiyat tumhein aur bhi zaruri hai
milen jo phul to kanTe bhi saf kar lena
kahan se sikh li duniya mein ye ada 'saifi'
har ek shaKHs ko apne KHilaf kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.