zara si baat se manzar badal bhi sakta tha
zarā sī baat se manzar badal bhī saktā thā
jo hādisa huā bastī meñ Tal bhī saktā thā
gilā na kar mirī raftār kā ye bojh bhī dekh
maiñ sab ke saath huuñ aage nikal bhī saktā thā
havā.eñ us ke mire darmiyān rahtī thiiñ
qarīb hote hue dasht jal bhī saktā thā
chaleñ vo āñdhiyāñ rishta zamīñ se TuuT gayā
ghanā daraḳht abhī phūl-phal bhī saktā thā
bas ek pal ne mujhe qaid kar liyā 'anjum'
maiñ jab giraft se us kī nikal bhī saktā thā
zara si baat se manzar badal bhi sakta tha
jo hadisa hua basti mein Tal bhi sakta tha
gila na kar meri raftar ka ye bojh bhi dekh
main sab ke sath hun aage nikal bhi sakta tha
hawaen us ke mere darmiyan rahti thin
qarib hote hue dasht jal bhi sakta tha
chalen wo aandhiyan rishta zamin se TuT gaya
ghana daraKHt abhi phul-phal bhi sakta tha
bas ek pal ne mujhe qaid kar liya 'anjum'
main jab giraft se us ki nikal bhi sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.