zara si baat thi baat aa gai judai tak
zarā sī baat thī baat aa ga.ī judā.ī tak
hañsī ne chhoḌ diyā lā ke jag-hañsā.ī tak
bhale se ab koī terī bhalā.ī ginvā.e
ki maiñ ne chāhā thā tujh ko tirī burā.ī tak
tū chupke chupke muravvat se kyuuñ bichhaḌtā hai
mirā ġhurūr bhī thā terī kaj-adā.ī tak
mujhe to apnī nadāmat kī daad bhī na milī
maiñ us ke saath rahā apnī nā-rasā.ī tak
is ā.īne kā to ab reza reza chubhtā hai
ye ā.īna jise taktī rahī ḳhudā.ī tak
ye hādsa hai mire zabt-e-hāl ke hāthoñ
safed ho ga.ī kāġhaz pe raushnā.ī tak
pukārtī rahīñ āñkheñ chalā gayā hai koī
vo ik sukūt thā āvāz se duhā.ī tak
nikal ke dekhā qafas se to aañkh bhar aa.ī
vo fasl-e-gul ki khaḌī thī mirī rihā.ī tak
ġhazab hai TuuT ke chāhā thā 'shāz' ne jis ko
sunā ye rasm bhī thī sūrat-āshnā.ī tak
zara si baat thi baat aa gai judai tak
hansi ne chhoD diya la ke jag-hansai tak
bhale se ab koi teri bhalai ginwae
ki main ne chaha tha tujh ko teri burai tak
tu chupke chupke murawwat se kyun bichhaDta hai
mera ghurur bhi tha teri kaj-adai tak
mujhe to apni nadamat ki dad bhi na mili
main us ke sath raha apni na-rasai tak
is aaine ka to ab reza reza chubhta hai
ye aaina jise takti rahi KHudai tak
ye hadsa hai mere zabt-e-haal ke hathon
safed ho gai kaghaz pe raushnai tak
pukarti rahin aankhen chala gaya hai koi
wo ek sukut tha aawaz se duhai tak
nikal ke dekha qafas se to aankh bhar aai
wo fasl-e-gul ki khaDi thi meri rihai tak
ghazab hai TuT ke chaha tha 'shaz' ne jis ko
suna ye rasm bhi thi surat-ashnai tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.