zara si der ko chola badal ke dekhta hun
zarā sī der ko cholā badal ke dekhtā huuñ
hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekhtā huuñ
mo.āmla na sahī ek tajraba hī sahī
tumhāre saath bhī do-gām chal ke dekhtā huuñ
nahīñ hai ilm mujhe aaj kī haqīqat kā
magar ajiib huuñ maiñ ḳhvāb kal ke dekhtā huuñ
mujhe milā hai pas-e-marg zindagī kā surāġh
hayāt meñ bhī manāzir ajal ke dekhtā huuñ
zara si der ko chola badal ke dekhta hun
hisar-e-zat se bahar nikal ke dekhta hun
moamla na sahi ek tajraba hi sahi
tumhaare sath bhi do-gam chal ke dekhta hun
nahin hai ilm mujhe aaj ki haqiqat ka
magar ajib hun main KHwab kal ke dekhta hun
mujhe mila hai pas-e-marg zindagi ka suragh
hayat mein bhi manazir ajal ke dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.