Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara si der sahi ruKH badalna chahta hai

Shareef Munawwar

zara si der sahi ruKH badalna chahta hai

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1974

    zarā der sahī ruḳh badalnā chāhtā hai

    jise bhī dekhiye ghar se nikalnā chāhtā hai

    mirā mizāj samajhne bhī kare zahmat

    vo ek shaḳhs ki mujh ko badalnā chāhtā hai

    laraz rahī hai yahāñ lo charāġh-e-ḳhāna

    batāo kaun sar-e-rāh jalnā chāhtā hai

    ik iztirāb hai dil se darīcha-e-jāñ tak

    ye kaun mujh meñ chhupā hai nikalnā chāhtā hai

    na.e safar pe kiyā jis ne mujh ko āmāda

    vahī to ab mirā rastā badalnā chāhtā hai

    balā se taaj meñ chamke ki ḳhaak meñ mil jaa.e

    guhar to batn-e-sadaf se nikalnā chāhtā hai

    ḳhushī to ye hai ki chalnā sikhā rahā huuñ use

    jo shaḳhs mujh se bhī aage nikalnā chāhtā hai

    zara si der sahi ruKH badalna chahta hai

    jise bhi dekhiye ghar se nikalna chahta hai

    mera mizaj samajhne ki bhi kare zahmat

    wo ek shaKHs ki mujh ko badalna chahta hai

    laraz rahi hai yahan lo charagh-e-KHana ki

    batao kaun sar-e-rah jalna chahta hai

    ek iztirab hai dil se daricha-e-jaan tak

    ye kaun mujh mein chhupa hai nikalna chahta hai

    nae safar pe kiya jis ne mujh ko aamada

    wahi to ab mera rasta badalna chahta hai

    bala se taj mein chamke ki KHak mein mil jae

    guhar to batn-e-sadaf se nikalna chahta hai

    KHushi to ye hai ki chalna sikha raha hun use

    jo shaKHs mujh se bhi aage nikalna chahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now